hamārā azm-e-safar kab kidhar kā ho jaa.e
ye vo nahīñ jo kisī rahguzar kā ho jaa.e
usī ko jiine kā haq hai jo is zamāne meñ
idhar kā lagtā rahe aur udhar kā ho jaa.e
khulī havāoñ meñ uḌnā to us kī fitrat hai
parinda kyuuñ kisī shāḳh-e-shajar kā ho jaa.e
maiñ laakh chāhūñ magar ho to ye nahīñ saktā
ki terā chehrā mirī hī nazar kā ho jaa.e
mirā na hone se kyā farq us ko paḌnā hai
pata chale jo kisī kam-nazar kā ho jaa.e
'vasīm' sub.h kī tanhā.i-e-safar socho
mushā.era to chalo raat bhar kā ho jaa.e