Waseem Barelvi

lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
lahū na ho to qalam tarjumāñ nahīñ hotā
hamāre daur meñ aañsū zabāñ nahīñ hotā
jahāñ rahegā vahīñ raushnī luTā.egā
kisī charāġh kā apnā makāñ nahīñ hotā
ye kis maqām pe laa.ī hai merī tanhā.ī
ki mujh se aaj koī bad-gumāñ nahīñ hotā
bas ik nigāh mirī raah dekhtī hotī
ye saarā shahr mirā mezbāñ nahīñ hotā
tirā ḳhayāl na hotā to kaun samjhātā
zamīñ na ho to koī āsmāñ nahīñ hotā
maiñ us ko bhuul gayā huuñ ye kaun mānegā
kisī charāġh ke bas meñ dhuāñ nahīñ hotā
'vasīm' sadiyoñ kī āñkhoñ se dekhiye mujh ko
vo lafz huuñ jo kabhī dāstāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com