Shuja Khaavar

ruKH hawa ka ye ki jaise usko aasani paDe

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
ruḳh havā kā ye ki jaise us ko āsānī paḌe
dil kī aag aisī ki ham ko roz sulgānī paḌe
nuur ho andar to bāhar maat kyuuñ khānī paḌe
vo tajallī kyā miyāñ jo tuur se laanī paḌe
zindagī kī qadr tab tum par khulegī dosto
us ke kūche se jab ek ik saañs mañgvānī paḌe
ek to mushkil ko jhelūñ aur uupar se ye hai
apnī mushkil roz us ko jā ke samjhānī paḌe
ḳhud vo milne aa.e to haa.el rahe ye be-ḳhudī
maiñ jo milne jā.ūñ to raste meñ hairānī paḌe
paḌ gayā jab tū hī īn-o-āñ kī uljhan meñ 'shujā.a'
laakh phir sajde meñ shab bhar terī peshānī paḌe
Top Urdushayar.com