maiñ āsmāñ pe bahut der rah nahīñ saktā
magar ye baat zamīñ se to kah nahīñ saktā
kisī ke chehre ko kab tak nigāh meñ rakkhūñ
safar meñ ek hī manzar to rah nahīñ saktā
ye āzmāne kī fursat tujhe kabhī mil jaa.e
maiñ āñkhoñ āñkhoñ meñ kyā baat kah nahīñ saktā
sahārā lenā hī paḌtā hai mujh ko dariyā kā
maiñ ek qatra huuñ tanhā to bah nahīñ saktā
lagā ke dekh le jo bhī hisāb aatā ho
mujhe ghaTā ke vo gintī meñ rah nahīñ saktā
ye chand lamhoñ kī be-iḳhtiyāriyāñ haiñ 'vasīm'
gunah se rishta bahut der rah nahīñ saktā