miTe vo dil jo tire ġham ko le ke chal na sake
vahī charāġh bujhā.e ga.e jo jal na sake
ham is liye na.ī duniyā ke saath chal na sake
ki jaise rañg ye badlī hai ham badal na sake
maiñ un charāġhoñ kī umr-e-vafā ko rotā huuñ
jo ek shab bhī mire dil ke saath jal na sake
maiñ vo musāfir-e-ġhamgīñ huuñ jis ke saath 'vasīm'
ḳhizāñ ke daur se bhī kuchh duur chal ke chal na sake