kuchh itnā ḳhauf kā maarā huā bhī pyaar na ho
vo e'tibār dilā.e aur e'tibār na ho
havā ḳhilāf ho maujoñ pe iḳhtiyār na ho
ye kaisī zid hai ki dariyā kisī se paar na ho
maiñ gaañv lauT rahā huuñ bahut dinoñ ke baad
ḳhudā kare ki use merā intizār na ho
zarā sī baat pe ghuT ghuT ke sub.h kar denā
mirī tarah bhī koī merā ġham-gusār na ho
dukhī samāj meñ aañsū bhare zamāne meñ
use ye kaun batā.e ki ashk-bār na ho
gunāhgāroñ pe uñglī uThā.e dete ho
'vasīm' aaj kahīñ tum bhī sañgsār na ho