Waseem Barelvi

khul ke milne ka saliqa aapko aata nahin

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
khul ke milne kā salīqa aap ko aatā nahīñ
aur mere paas koī chor darvāza nahīñ
vo samajhtā thā use pā kar hī maiñ rah jā.ūñgā
us ko merī pyaas kī shiddat kā andāza nahīñ
jā dikhā duniyā ko mujh ko kyā dikhātā hai ġhurūr
tū samundar hai to hai maiñ to magar pyāsā nahīñ
koī bhī dastak kare aahaT ho yā āvāz de
mere hāthoñ meñ mirā ghar to hai darvāza nahīñ
apnoñ ko apnā kahā chāhe kisī darje ke hoñ
aur jab aisā kiyā maiñ ne to sharmāyā nahīñ
us kī mahfil meñ unhīñ kī raushnī jin ke charāġh
maiñ bhī kuchh hotā to merā bhī diyā hotā nahīñ
tujh se kyā bichhḌā mirī saarī haqīqat khul ga.ī
ab koī mausam mile to mujh se sharmātā nahīñ
Top Urdushayar.com