Waseem Barelvi

tahrir se warna meri kya ho nahin sakta

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
tahrīr se varna mirī kyā ho nahīñ saktā
ik tū hai jo lafzoñ meñ adā ho nahīñ saktā
āñkhoñ meñ ḳhayālāt meñ sāñsoñ meñ basā hai
chāhe bhī to mujh se vo judā ho nahīñ saktā
jiinā hai to ye jabr bhī sahnā hī paḌegā
qatra huuñ samundar se ḳhafā ho nahīñ saktā
gumrāh kiye hoñge ka.ī phuul se jazbe
aise to koī rāh-numā ho nahīñ saktā
qad merā baḌhāne kā use kaam milā hai
jo apne hī pairoñ pe khaḌā ho nahīñ saktā
ai pyaar tire hisse meñ aayā tirī qismat
vo dard jo chehroñ se adā ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com