mere ġham ko jo apnā batāte rahe
vaqt paḌne pe hāthoñ se jaate rahe
bārisheñ aa.iiñ aur faisla kar ga.iiñ
log TuuTī chhateñ āzmāte rahe
āñkheñ manzar huiiñ kaan naġhma hue
ghar ke andāz hī ghar se jaate rahe
shaam aa.ī to bichhḌe hue ham-safar
āñsuoñ se in āñkhoñ meñ aate rahe
nanhe bachchoñ ne chhū bhī liyā chāñd ko
būḌhe baabā kahānī sunāte rahe
duur tak haath meñ koī patthar na thā
phir bhī ham jaane kyuuñ sar bachāte rahe
shā.irī zahr thī kyā kareñ ai 'vasīm'
log piite rahe ham pilāte rahe