Shuja Khaavar

us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
us bevafā kā shahr hai aur vaqt-e-shām hai
aaise meñ aarzū baḌī himmat kā kaam hai
ham ko bhī chhoḌtā huā aage nikal gayā
jazboñ kā qāfila bhī baḌā tez-gām hai
be-ārzū bhī ḳhush haiñ zamāne meñ baaz log
yaañ aarzū ke saath bhī jiinā harām hai
lafzoñ kī jaan chhoḌ de mafhūm ko pakaḌ
varna ye sab muāmla tajnīs-e-tām hai
tauba ke silsile meñ bas itnā kaheñge ham
maslak ho bāda-noshī to tauba harām hai
ā.ankhoñ kā hai ḳhayāl ki daanā hai daam meñ
aur fikr kah rahī hai ki daane meñ daam hai
naqqād tum ko pūchhte aa.e the kal 'shujā'
kahte the shā.iroñ meñ tumhārā bhī naam hai
Top Urdushayar.com