chalo ham hī pahal kar deñ ki ham se bad-gumāñ kyuuñ ho
koī rishta zarā sī zid kī ḳhātir rā.egāñ kyuuñ ho
maiñ zinda huuñ to is zinda-zamīrī kī badaulat hī
jo bole tere lahje meñ bhalā merī zabāñ kyuuñ ho
savāl āḳhir ye ik din dekhnā ham hī uThā.eñge
na samjhe jo zamīñ ke ġham vo apnā āsmāñ kyuuñ ho
hamārī guftugū kī aur bhī samteñ bahut sī haiñ
kisī kā dil dukhāne hī ko phir apnī zabāñ kyuuñ ho
bikhar kar rah gayā hamsā.egī kā ḳhvāb hī varna
diye is ghar meñ raushan hoñ to us ghar meñ dhuāñ kyuuñ ho
mohabbat āsmāñ ko jab zamīñ karne kī zid Thahrī
to phir buzdil usūloñ kī sharāfat darmiyāñ kyuuñ ho
ummīdeñ saarī duniyā se 'vasīm' aur ḳhud meñ aise ġham
kisī pe kuchh na zāhir ho to koī mehrbāñ kyuuñ ho