udāsiyoñ meñ bhī raste nikāl letā hai
ajiib dil hai girūñ to sambhāl letā hai
ye kaisā shaḳhs hai kitnī hī achchhī baat kaho
koī burā.ī kā pahlū nikāl letā hai
Dhale to hotī hai kuchh aur ehtiyāt kī umr
ki bahte bahte ye dariyā uchhāl letā hai
baḌe-baḌoñ kī tarah-dāriyāñ nahīñ chaltīñ
uruuj terī ḳhabar jab zavāl letā hai
jab us ke jaam meñ ik buuñd tak nahīñ hotī
vo merī pyaas ko phir bhī sambhāl letā hai