shaam tak sub.h kī nazroñ se utar jaate haiñ
itne samjhautoñ pe jiite haiñ ki mar jaate haiñ
phir vahī talḳhī-e-hālāt muqaddar Thahrī
nashshe kaise bhī hoñ kuchh din meñ utar jaate haiñ
ik judā.ī kā vo lamha ki jo martā hī nahīñ
log kahte the ki sab vaqt guzar jaate haiñ
ghar kī girtī huī dīvāreñ hī mujh se achchhī
rāsta chalte hue log Thahar jaate haiñ
ham to be-nām irādoñ ke musāfir haiñ 'vasīm'
kuchh pata ho to batā.eñ ki kidhar jaate haiñ