maiñ apne ḳhvāb se bichhḌā nazar nahīñ aatā
to is sadī meñ akelā nazar nahīñ aatā
ajab dabāo hai un bāharī havāoñ kā
gharoñ kā bojh bhī uThtā nazar nahīñ aatā
maiñ terī raah se ha.Tne ko haT gayā lekin
mujhe to koī bhī rasta nazar nahīñ aatā
maiñ ik sadā pe hamesha ko ghar to chhoḌ aayā
magar pukārne vaalā nazar nahīñ aatā
dhuāñ bharā hai yahāñ to sabhī kī āñkhoñ meñ
kisī ko ghar mirā jaltā nazar nahīñ aatā
ġhazal-sarā.ī kā da.avā to sab kare haiñ 'vasīm'
magar vo 'mīr' sā lahja nazar nahīñ aatā