Waseem Barelvi

sabhi ka dhup se bachne ko sar nahin hota

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
sabhī kā dhuup se bachne ko sar nahīñ hotā
har aadmī ke muqaddar meñ ghar nahīñ hotā
kabhī lahū se bhī tārīḳh likhnī paḌtī hai
har ek ma.arka bātoñ se sar nahīñ hotā
maiñ us kī aañkh kā aañsū na ban sakā varna
mujhe bhī ḳhaak meñ milne kā Dar nahīñ hotā
mujhe talāsh karoge to phir na pāoge
maiñ ik sadā huuñ sadāoñ kā ghar nahīñ hotā
hamārī aañkh ke aañsū kī apnī duniyā hai
kisī faqīr ko shāhoñ kā Dar nahīñ hotā
maiñ us makān meñ rahtā huuñ aur zinda huuñ
'vasīm' jis meñ havā kā guzar nahīñ hotā
Top Urdushayar.com