kahāñ kahāñ hai ḳhudā jaane rābta dil kā
dimāġh se nahīñ hogā muqābla dil kā
ilaaj tere taġhāful ne kar diyā dil kā
bahut dinoñ se dimāġh āsmāñ pe thā dil kā
tum intizām karoge batāo kyā dil kā
yahāñ to ḳhud nahīñ mālūm mudda.ā dil kā
ajiib log haiñ ye dil ko kyā samajhte haiñ
tabīb jism meñ DhūñDā kiye pata dil kā
bas ek tarz-e-bayāñ kī milī hai daad hameñ
sunā ke dekh liyā sab ko mājrā dil kā
'shujā.a' dil kī kahānī bas ab tamām karo
bayān karne lage haiñ hamā-shumā dil kā