ham apne aap ko ik mas.ala banā na sake
isī liye to kisī kī nazar meñ aa na sake
ham āñsuoñ kī tarah vāste nibhā na sake
rahe jin āñkhoñ meñ un meñ hī ghar banā na sake
phir āñdhiyoñ ne sikhāyā vahāñ safar kā hunar
jahāñ charāġh hameñ rāsta dikhā na sake
jo pesh pesh the bastī bachāne vāloñ meñ
lagī jab aag to apnā bhī ghar bachā na sake
mire ḳhudā kisī aisī jagah use rakhnā
jahāñ koī mire baare meñ kuchh batā na sake
tamām umr kī koshish kā bas yahī hāsil
kisī ko apne mutābiq koī banā na sake
tasalliyoñ pe bahut din jiyā nahīñ jaatā
kuchh aisā ho ke tirā e.atibār aa na sake