kyā dukh hai samundar ko batā bhī nahīñ saktā
aañsū kī tarah aañkh tak aa bhī nahīñ saktā
tū chhoḌ rahā hai to ḳhatā is meñ tirī kyā
har shaḳhs mirā saath nibhā bhī nahīñ saktā
pyāse rahe jaate haiñ zamāne ke savālāt
kis ke liye zinda huuñ batā bhī nahīñ saktā
ghar DhūñD rahe haiñ mirā rātoñ ke pujārī
maiñ huuñ ki charāġhoñ ko bujhā bhī nahīñ saktā
vaise to ik aañsū hī bahā kar mujhe le jaa.e
aise koī tūfān hilā bhī nahīñ saktā