zarā sā qatra kahīñ aaj agar ubhartā hai
samundaroñ hī ke lahje meñ baat kartā hai
khulī chhatoñ ke diye kab ke bujh ga.e hote
koī to hai jo havāoñ ke par katartā hai
sharāfatoñ kī yahāñ koī ahmiyat hī nahīñ
kisī kā kuchh na bigāḌo to kaun Dartā hai
ye dekhnā hai ki sahrā bhī hai samundar bhī
vo merī tishna-labī kis ke naam kartā hai
tum aa ga.e ho to kuchh chāñdnī sī bāteñ hoñ
zamīñ pe chāñd kahāñ roz roz utartā hai
zamīñ kī kaisī vakālat ho phir nahīñ chaltī
jab āsmāñ se koī faisla utartā hai