Waseem Barelvi

chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
chāñd kā ḳhvāb ujāloñ kī nazar lagtā hai
tū jidhar ho ke guzar jaa.e ḳhabar lagtā hai
us kī yādoñ ne ugā rakkhe haiñ sūraj itne
shaam kā vaqt bhī aa.e to sahar lagtā hai
ek manzar pe Thaharne nahīñ detī fitrat
umr bhar aañkh kī qismat meñ safar lagtā hai
maiñ nazar bhar ke tire jism ko jab dekhtā huuñ
pahlī bārish meñ nahāyā sā shajar lagtā hai
be-sahārā thā bahut pyaar koī pūchhtā kyā
tū ne kāñdhe pe jagah dī hai to sar lagtā hai
terī qurbat ke ye lamhe use raas aa.eñ kyā
sub.h hone kā jise shaam se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com