Waseem Barelvi

dukh apna agar hum ko batana nahin aata

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
dukh apnā agar ham ko batānā nahīñ aatā
tum ko bhī to andāza lagānā nahīñ aatā
pahuñchā hai buzurgoñ ke bayānoñ se jo ham tak
kyā baat huī kyuuñ vo zamāna nahīñ aatā
maiñ bhī use khone kā hunar siikh na paayā
us ko bhī mujhe chhoḌ ke jaanā nahīñ aatā
is chhoTe zamāne ke baḌe kaise banoge
logoñ ko jab aapas meñ laḌānā nahīñ aatā
DhūñDhe hai to palkoñ pe chamakne ke bahāne
aañsū ko mirī aañkh meñ aanā nahīñ aatā
tārīḳh kī āñkhoñ meñ dhuāñ ho ga.e ḳhud hī
tum ko to koī ghar bhī jalānā nahīñ aatā
Top Urdushayar.com