apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise
terī marzī ke mutābiq nazar aa.eñ kaise
ghar sajāne kā tasavvur to bahut ba.ad kā hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachā.eñ kaise
laakh talvāreñ baḌhī aatī hoñ gardan kī taraf
sar jhukānā nahīñ aatā to jhukā.eñ kaise
qahqaha aañkh kā bartāo badal detā hai
hañsne vaale tujhe aañsū nazar aa.eñ kaise
phuul se rañg judā honā koī khel nahīñ
apnī miTTī ko kahīñ chhoḌ ke jaa.eñ kaise
koī apnī hī nazar se to hameñ dekhegā
ek qatre ko samundar nazar aa.eñ kaise
jis ne dānista kiyā ho nazar-andāz 'vasīm'
us ko kuchh yaad dilā.eñ to dilā.eñ kaise