logoñ ne ham ko shahr kā qaazī banā diyā
is hādse ne ham ko namāzī banā diyā
tum ko kahā jo chāñd to tum duur ho ga.e
tashbīh ko bhī tum ne majāzī banā diyā
ek aur din kī shaam kisī tarh ho ga.ī
kuchh de-dilā ke haal ko maazī banā diyā
buġhz-e-muāviya meñ sabhī ek ho ga.e
is ittihād ne mujhe naazī banā diyā
ḳhālī alāmatoñ se ma.ānī nikāl kar
tanqīd ko bhī sho.abda-bāzī banā diyā