duur se hī bas dariyā dariyā lagtā hai
Duub ke dekho kitnā pyāsā lagtā hai
tanhā ho to ghabrāyā sā lagtā hai
bhiiḌ meñ us ko dekh ke achchhā lagtā hai
aaj ye hai kal aur yahāñ hogā koī
socho to sab khel-tamāshā lagtā hai
maiñ hī na mānūñ mere bikharne meñ varna
duniyā bhar ko haath tumhārā lagtā hai
zehn se kāġhaz par tasvīr utarte hī
ek musavvir kitnā akelā lagtā hai
pyaar ke is nashsha ko koī kyā samjhe
Thokar meñ jab saarā zamāna lagtā hai
bhiiḌ meñ rah kar apnā bhī kab rah paatā
chāñd akelā hai to sab kā lagtā hai
shāḳh pe baiThī bholī-bhālī ik chiḌiyā
kyā jaane us par bhī nishāna lagtā hai