Waseem Barelvi

usne meri rah na dekhi aur wo rishta toD liya

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
us ne merī raah na dekhī aur vo rishta toḌ liyā
jis rishte kī ḳhātir mujh se duniyā ne muñh moḌ liyā
baḌī baḌī ḳhushiyoñ ko haañ nazdīk se jā kar dekhā to
maiñ ne raah ke chalte-phirte dukh se naata joḌ liyā
maiñ kitne rañgoñ meñ Dhaltā kab tak ḳhud se laḌ paatā
jīvan ek safar thā jis ne roz nayā ik moḌ liyā
aise shaḳhs ko miir banāyā jo bas ḳhvāb dikhātā thā
bastī ke logoñ ne apnā-āp muqaddar phoḌ liyā
maiñ to bholā-bhālā 'vasīm' aur vo fankār siyāsat kā
us ke jab ghaTne kī baarī aa.ī mujh ko joḌ liyā
Top Urdushayar.com