rañg be-rañg hoñ ḳhushbū kā bharosa jaa.e
merī āñkhoñ se jo duniyā tujhe dekhā jaa.e
ham ne jis raah ko chhoḌā phir use chhoḌ diyā
ab na jā.eñge udhar chāhe zamāna jaa.e
maiñ ne muddat se koī ḳhvāb nahīñ dekhā hai
haath rakh de mirī āñkhoñ pe ki niiñd aa jaa.e
maiñ gunāhoñ kā taraf-dār nahīñ huuñ phir bhī
raat ko din kī nigāhoñ se na dekhā jaa.e
kuchh baḌī sochoñ meñ ye socheñ bhī shāmil haiñ 'vasīm'
kis bahāne se koī shahr jalāyā jaa.e