kyā batā.ūñ kaisā ḳhud ko dar-ba-dar maiñ ne kiyā
umr-bhar kis kis ke hisse kā safar maiñ ne kiyā
tū to nafrat bhī na kar pā.egā is shiddat ke saath
jis balā kā pyaar tujh se be-ḳhabar maiñ ne kiyā
kaise bachchoñ ko batā.ūñ rāstoñ ke pech-o-ḳham
zindagī-bhar to kitāboñ kā safar maiñ ne kiyā
kis ko fursat thī ki batlātā tujhe itnī sī baat
ḳhud se kyā bartāv tujh se chhūT kar maiñ ne kiyā
chand jazbātī se rishtoñ ke bachāne ko 'vasīm'
kaisā kaisā jabr apne aap par maiñ ne kiyā