hādsoñ kī zad pe haiñ to muskurānā chhoḌ deñ
zalzaloñ ke ḳhauf se kyā ghar banānā chhoḌ deñ
tum ne mere ghar na aane kī qasam khaa.ī to hai
āñsuoñ se bhī kaho āñkhoñ meñ aanā chhoḌ deñ
pyaar ke dushman kabhī to pyaar se kah ke to dekh
ek terā dar hī kyā ham to zamāna chhoḌ deñ
ghoñsle vīrān haiñ ab vo parinde hī kahāñ
ik basere ke liye jo āb-o-dāna chhoḌ deñ