zindagī tujh pe ab ilzām koī kyā rakkhe
apnā ehsās hī aisā hai jo tanhā rakkhe
kin shikastoñ ke shab-o-roz se guzrā hogā
vo musavvir jo har ik naqsh adhūrā rakkhe
ḳhushk miTTī hī ne jab paañv jamāne na diye
bahte dariyā se phir ummīd koī kyā rakkhe
aa ġham-e-dost usī moḌ pe ho jā.ūñ judā
jo mujhe merā hī rahne de na terā rakkhe
ārzūoñ ke bahut ḳhvāb to dekho ho 'vasīm'
jaane kis haal meñ be-dard zamāna rakkhe