vo mere ghar nahīñ aatā maiñ us ke ghar nahīñ jaatā
magar in ehtiyātoñ se ta.alluq mar nahīñ jaatā
bure achchhe hoñ jaise bhī hoñ sab rishte yahīñ ke haiñ
kisī ko saath duniyā se koī le kar nahīñ jaatā
gharoñ kī tarbiyat kyā aa ga.ī T-v ke hāthoñ meñ
koī bachcha ab apne baap ke uupar nahīñ jaatā
khule the shahr meñ sau dar magar ik had ke andar hī
kahāñ jaatā agar maiñ lauT ke phir ghar nahīñ jaatā
mohabbat ke ye aañsū haiñ unheñ āñkhoñ meñ rahne do
sharīfoñ ke gharoñ kā mas.ala bāhar nahīñ jaatā
'vasīm' us se kaho duniyā bahut mahdūd hai merī
kisī dar kā jo ho jaa.e vo phir dar dar nahīñ jaatā