use samajhne kā koī to rāsta nikle
maiñ chāhtā bhī yahī thā vo bevafā nikle
kitāb-e-māzī ke aurāq ulaT ke dekh zarā
na jaane kaun sā saf.ha muḌā huā nikle
maiñ tujh se miltā to tafsīl meñ nahīñ jaatā
mirī taraf se tire dil meñ jaane kyā nikle
jo dekhne meñ bahut hī qarīb lagtā hai
usī ke baare meñ socho to fāsla nikle
tamām shahr kī āñkhoñ meñ surḳh sho.ale haiñ
'vasīm' ghar se ab aise meñ koī kyā nikle