dost kā ghar aur dushman kā pata ma.alūm hai
zindagī ham ko tirā ye silsila ma.alūm hai
zindagī jā ham bhī kū-e-ārzū tak aa ga.e
is ke aage ham ko saarā rāsta ma.alūm hai
kyā munajjim se kareñ ham apne mustaqbil kī baat
haal ke baare meñ ham ko kaun sā ma.alūm hai
yā to jo nā-fahm haiñ vo bolte haiñ in dinoñ
yā jinheñ ḳhāmosh rahne kī sazā ma.alūm hai
sher par to aap kī qudarat musallam hai 'shujā'
is zamāne kā bhī kuchh achchhā burā ma.alūm hai