jahāñ dariyā kahīñ apne kināre chhoḌ detā hai
koī uThtā hai aur tūfān kā ruḳh moḌ detā hai
mujhe be-dast-o-pā kar ke bhī ḳhauf us kā nahīñ jaatā
kahīñ bhī hādisa guzre vo mujh se joḌ detā hai
bichhaḌ ke tujh se kuchh jaanā agar to is qadar jaanā
vo miTTī huuñ jise dariyā kināre chhoḌ detā hai
mohabbat meñ zarā sī bevafā.ī to zarūrī hai
vahī achchhā bhī lagtā hai jo va.ade toḌ detā hai