Waseem Barelvi

dua karo ki koi pyas nazr-e-jam na ho

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
duā karo ki koī pyaas nazr-e-jām na ho
vo zindagī hī nahīñ hai jo nā-tamām na ho
jo mujh meñ tujh meñ chalā aa rahā hai sadiyoñ se
kahīñ hayāt usī fāsle kā naam na ho
koī charāġh na aañsū na ārzū-e-sahar
ḳhudā kare ki kisī ghar meñ aisī shaam na ho
ajiib shart lagā.ī hai ehtiyātoñ ne
ki terā zikr karūñ aur terā naam na ho
sabā-mizāj kī tezī bhī ek ne.amat hai
agar charāġh bujhānā hī ek kaam na ho
'vasīm' kitnī hī sub.heñ lahū lahū guzrīñ
ik aisī sub.h bhī aa.e ki jis kī shaam na ho
Top Urdushayar.com