Azm Bahzad

kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

Azm Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1958-2011
kahīñ goyā.ī ke hāthoñ samā.at ro rahī hai
kahīñ lab-basta rah jaane kī hasrat ro rahī hai
kisī dīvār par nāḳhun ne likkhā hai rihā.ī
kisī ghar meñ asīrī kī aziyyat ro rahī hai
kahīñ mimbar pe ḳhush baiThā hai ik sajde kā nashsha
kisī mehrāb ke nīche ibādat ro rahī hai
ye māthe par pasīne kī jo larzish tum ne dekhī
ye ik chehre pe lā-hāsil mashaqqat ro rahī hai
ajab mahfil hai sab ik dūsre par hañs rahe haiñ
ajab tanhā.ī hai ḳhalvat kī ḳhalvat ro rahī hai
ye ḳhāmoshī nahīñ sab iltijā.eñ thak chukī haiñ
ye āñkheñ tar nahīñ rone kī himmat ro rahī hai
jo ba.ad-az-hijr aayā us ko kaise vasl kah duuñ
shikāyat se gale mil kar nadāmat ro rahī hai
ise ġhussa na samjho 'azm' ye mere lahū meñ
musalsal zabt karne kī rivāyat ro rahī hai
Top Urdushayar.com