dil soyā huā thā muddat se ye kaisī bashārat jaagī hai
is baar lahū meñ ḳhvāb nahīñ ta.abīr kī lazzat jaatī hai
is baar nazar ke āñgan meñ jo phuul khilā ḳhush-rañg lagā
is baar basārat ke dil meñ nādīda basīrat jaagī hai
ik bām-e-suḳhan par ham ne bhī kuchh kahne kī ḳhvāhish kī thī
ik umr ke ba.ad hamāre liye ab jā ke samā.at jaagī hai
ik dast-e-duā kī narmī se ik chashm-e-talab kī surḳhī tak
ahvāl barābar hone meñ ik nasl kī vahshat jaagī hai
ai ta.ana-zanoñ do chaar baras tum bol liye ab dekhte jaao
shamshīr-e-suḳhan kis haath meñ hai kis ḳhuun meñ hiddat jaagī hai