khultā nahīñ ki ham meñ ḳhizāñ-dīda kaun hai
āsūdgī ke baab meñ ranjīda kaun hai
āmādgī ko vasl se mashrūt mat samajh
ye dekh is savāl pe sanjīda kaun hai
dekhūñ jo ā.īna to ġhunūda dikhā.ī duuñ
maiñ ḳhvāb meñ nahīñ to ye ḳhvābīda kaun hai
amboh-e-ahl-e-zaḳhm to kab kā guzar chukā
ab rahguzar pe ḳhaak meñ ġhaltīda kaun hai
ai karb-nā-rasā.ī kabhī ye to ġhaur kar
mere sivā yahāñ tirā girvīda kaun hai
har shaḳhs dūsre kī malāmat kā hai shikār
āḳhir yahāñ kisī kā pasandīda kaun hai
to azm-e-tark-e-ishq pe qaa.em to hai magar
tujh meñ ye chand roz se larzīda kaun hai