Azm Bahzad

kitne mausam sargardan the mujhse hath milane mein

Azm Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1958-2011
kitne mausam sargardāñ the mujh se haath milāne meñ
maiñ ne shāyad der lagā dī ḳhud se bāhar aane meñ
ek nigāh kā sannāTā hai ik āvāz kā banjar-pan
maiñ kitnā tanhā baiThā huuñ qurbat ke vīrāne meñ
aaj us phuul kī ḳhushbū mujh meñ paiham shor machātī hai
jis ne be-had ujlat bartī khilne aur murjhāne meñ
ek malāl kī gard sameTe maiñ ne ḳhud ko paar kiyā
kaise kaise vasl guzāre hijr kā zaḳhm chhupāne meñ
jitne dukh the jitnī umīdeñ sab se barābar kaam liyā
maiñ ne apne ā.inda kī ik tasvīr banāne meñ
ek vazāhat ke lamhe meñ mujh par ye ahvāl khulā
kitnī mushkil pesh aatī hai apnā haal batāne meñ
pahle dil ko aas dilā kar be-parvā ho jaatā thā
ab to 'azm' bikhar jaatā huuñ maiñ ḳhud ko bahlāne meñ
Top Urdushayar.com