be-had ġham haiñ jin meñ avval umr guzar jaane kā ġham
har ḳhvāhish kā dhīre dhīre dil se utar jaane kā ġham
har tafsīl meñ jaane vaalā zehn savāl kī zad par hai
har tashrīh ke pīchhe hai anjām se Dar jaane kā ġham
jaane kab kis par khul jaa.e shahr-e-fanā kā darvāza
jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane kā ġham
ye jo bhiiḌ hai be-hāloñ kī dauḌ hai chand nivāloñ kī
nān-o-namak kā bojh liye jaldī se ghar jaane kā ġham
dariyā paar utarne vaale ye bhī jaan nahīñ paa.e
kise kināre par le Duubā paar utar jaane kā ġham
'azm' udāsī kā ye sahrā yuuñ qadmoñ se lipTā hai
jalne vāloñ ko mil jaa.e jaise Thahar jaane kā ġham