Azm Bahzad

mujhe kal achanak KHayal aa gaya aasman kho na jae

Azm Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1958-2011
mujhe kal achānak ḳhayāl aa gayā āsmāñ kho na jaa.e
samundar ko sar karte karte kahīñ bādbāñ kho na jaa.e
koī nā-murādī kī yalġhār siine ko chhalnī na kar de
kahīñ dasht-e-anfās meñ sabr kā kārvāñ kho na jaa.e
ye hañstā huā shor sanjīdgī ke liye imtihāñ hai
so mohtāt rahnā ki tahzīb-e-āh-o-fuġhāñ kho na jaa.e
ise vaqt kā jabr kahiye ki bechārgī jism o jaañ kī
makāñ khone vāloñ ko Dar hai ki ab lā-makāñ kho na jaa.e
maiñ apne irādoñ kī gaThrī uThā.e kahīñ jā na paayā
hamesha ye dhaḌkā rahā mahfil-e-dostāñ kho na jaa.e
ye qissoñ kī rim-jhim meñ bhīgā huā halqa-e-guftugū hai
yahāñ chup hī rahnā ki tāsīr-e-lafz-o-bayāñ kho na jaa.e
yahāñ kis ko fursat ki āġhāz o anjām ko yaad rakkhe
sabhī ko ye tashvīsh hai vaqt kā darmiyāñ kho na jaa.e
ye bāzār-e-naf.a-o-zarar hai yahāñ be-tavāzun na honā
sameTo agar suud to dhyān rakhnā ziyāñ kho na jaa.e
uTho 'azm' is ātish-e-shauq ko sard hone se roko
agar ruk na paa.e to koshish ye karnā dhuāñ kho na jaa.e
Top Urdushayar.com