Azm Bahzad

sham aai to koi KHush-badni yaad aai

Azm Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1958-2011
shaam aa.ī to koī ḳhush-badnī yaad aa.ī
mujhe ik shaḳhs kī va.ada-shiknī yaad aa.ī
mujhe yaad aayā ki ik daur thā sargoshī kā
aaj usī daur kī ik kam-suḳhanī yaad aa.ī
masnad-e-naġhma se ik rañg-e-tabassum ubhrā
khilkhilātī huī ġhuncha-dahnī yaad aa.ī
lab jo yaad aa.e to bosoñ kī ḳhalish jaag uThī
phuul mahke to mujhe be-chamnī yaad aa.ī
phir tasavvur meñ chalī aa.ī mahaktī huī shab
aur simTī huī be pairahanī yaad aa.ī
haañ kabhī dil se guzartā thā julūs-e-ḳhvāhish
aaj usī tarah kī ik nāra-zanī yaad aa.ī
qisa-e-rafta ko dohrā to liyā 'azm' magar
kis masāfat pe tumheñ be-vatanī yaad aa.ī
Top Urdushayar.com