bahut qarīne kī zindagī thī ajab qayāmat meñ aa basā huuñ
sukūn kī sub.h chāhtā thā so shām-e-vahshat meñ aa basā huuñ
maiñ apnī añgusht kāTtā thā ki biich meñ niiñd aa na jaa.e
agarche sab ḳhvāb kā safar thā magar haqīqat meñ aa basā huuñ
visāl-e-fardā kī justujū meñ nashāt-e-imroz ghaT rahā hai
ye kis talab meñ ghirā huā huuñ ye kis aziyyat meñ aa basā huuñ
yahāñ to be-fursatī ke hāthoñ vo pā.emālī huī hai merī
ki jis se milne kī aarzū thī usī kī furqat meñ aa basā huuñ
kahāñ kī duniyā kahāñ kī sāñseñ ki sab fareb-e-havās niklā
jazā kī muddat samajh rahā thā sazā kī mohlat meñ aa basā huuñ
savāl karne ke hausle se javāb dene ke faisle tak
jo vaqfa-e-sabr aa gayā thā usī kī lazzat meñ aa basā huuñ
ye un se kahnā jo merī chup se hazār bāteñ banā rahe the
maiñ apne sho.ale ko pā chukā huuñ maiñ apnī shiddat meñ aa basā huuñ