maiñ umar ke raste meñ chup-chāp bikhar jaatā
ik din bhī agar apnī tanhā.ī se Dar jaatā
maiñ tark-e-ta.alluq par zinda huuñ so mujrim huuñ
kaash us ke liye jiitā apne liye mar jaatā
us raat koī ḳhushbū qurbat meñ nahīñ jaagī
maiñ varna sañvar jaatā aur vo bhī nikhar jaatā
us jān-e-takallum ko tum mujh se to milvāte
tasḳhīr na kar paatā hairān to kar jaatā
kal sāmne manzil thī pīchhe mirī āvāzeñ
chaltā to bichhaḌ jaatā ruktā to safar jaatā
maiñ shahr kī raunaq meñ gum ho ke bahut ḳhush thā
ik shaam bachā letā ik roz to ghar jaatā
mahrūm fazāoñ meñ māyūs nazāroñ meñ
tum 'azm' nahīñ Thahre maiñ kaise Thahar jaatā