Azm Bahzad

wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likkha

Azm Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1958-2011
vus.at-e-chashm ko andoh-e-basārat likkhā
maiñ ne ik vasl ko ik hijr kī hālat likkhā
maiñ ne likkhā ki saf-e-dil kabhī ḳhālī na huī
aur ḳhālī jo huī bhī to malāmat likkhā
ye safar paañv hilāne kā nahīñ aañkh kā hai
maiñ ne is baab meñ rukne ko masāfat likkhā
likhne vāloñ ne to hone kā sabab likkhā hai
maiñ ne hone ko na hone kī vazāhat likkhā
ashk agar sab ne likhe maiñ ne sitāre likkhe
ājizī sab ne likhī maiñ ne ibādat likkhā
maiñ ne ḳhushbū ko likhā dastaras-e-gumshudagī
rañg ko fāsla rakhne kī ri.āyat likkhā
zaḳhm likhne ke liye maiñ ne likhī hai ġhaflat
ḳhuun likhnā thā magar maiñ ne harārat likkhā
maiñ ne parvāz likhī hadd-e-falak se aage
aur hai bāl-o-parī ko bhī nihāyat likkhā
husn-e-goyā.ī ko likhnā thā likhī sargoshī
shor likhnā thā sau āzār-e-samā.at likkhā
itne dāvoñ se guzar kar ye ḳhayāl aatā hai
'azm' kyā tum ne kabhī harf-e-nadāmat likkhā
Top Urdushayar.com