maiñ ne chup ke añdhere meñ ḳhud ko rakhā ik fazā ke liye
hujra-e-zāt meñ raushnī laane vaalī duā ke liye
be-sadā sā.atoñ meñ samā.at kī raftār rukne ko thī
ek aahaT ne mujh se kahā jaag jaao ḳhudā ke liye
ek dushman-nazar merī narmī pe īmān laane ko hai
maiñ ajab intihā par khaḌā huuñ kisī ibtidā ke liye
koī ḳhush-qāmatī ā.īne ke muqābil sambhaltī huī
koī tadbīr-e-nazzāra simTī huī ik adā ke liye
ek hairat se lipTī huī ik subuk-doshī-e-pairahan
muztarib hai achānak bichhaḌ jaane vaalī hayā ke liye
ik safar hausle aur ḳhvāhish kī tasdīq kartā huā
ek raste pe ma.adūm hote hue naqsh-e-pā ke liye
merī āñkheñ aur in meñ chamakte hue mustaqil faisle
jagmagāte raheñge yūñhī aane vaalī havā ke liye
is se pahle ki manzil añdheroñ meñ tabdīl hone lage
qāfile se kaho rahnumā DhūñD le rahnumā ke liye
vus.at-e-āsmāñ sub.h-e-parvāz kā koī muzhda sunā
shāḳh-e-hasrat pe baiThe hue tā.ir-e-be-navā ke liye
ek bāġh-e-ta.alluq kisī chashm-e-hairāñ meñ ābād hai
ai ḳhudā is nazāre ko sarsabz rakhnā sadā ke liye
'azm' is arsa-e-nā-murādī se ghabrā ke ye mat kaho
aisī be-rañg sī zindagī kis liye kis jazā ke liye