us aañkh se vahshat kī tāsīr uThā laayā
maiñ jāgte rahne kī tadbīr uThā laayā
maiñ nīyat-e-shab-ḳhūñ se ḳheme meñ gayā lekin
dushman ke sirhāne se shamshīr uThā laayā
vo sub.h-e-rihā.ī thī yā shām-e-asīrī thī
jab maiñ dar-e-zindāñ se zanjīr uThā laayā
āvāra-mizājī par harf aane se pahle hī
dil tere taġhāful kī tasvīr uThā laayā
ai ḳhvāb-e-pazīrā.ī tū kyuuñ mirī āñkhoñ meñ
andesha-e-duniyā kī ta.abīr uThā laayā
vo sañg-e-malāmat thā jis ko tirā dil kah kar
us kūche se mujh jaisā rah-gīr uThā laayā
us shaḳhs se maiñ sab ko ujlat meñ milā baiThā
aur apne liye kaisī tāḳhīr uThā laayā
maidān-e-shikāyat se kyā apne sivā laatā
ik rañj thā maiñ jis kī ta.amīr uThā laayā
us bazm-e-suḳhan meñ ham kyā pahuñche ki shor uTThā
lo 'azm' koī zaḳhmī tahrīr uThā laayā