Azm Bahzad

jo yahan hazir hai wo misl-e-guman maujud hai

Azm Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1958-2011
jo yahāñ hāzir hai vo misl-e-gumāñ maujūd hai
aur jo ġhā.eb hai us kī dāstāñ maujūd hai
ai ġhubār-e-ḳhvāhish-e-yak-umr apnī raah le
is galī meñ tujh se pahle ik jahāñ maujūd hai
ab kisī amboh-e-gum-gashta kī jānib ho safar
aur koī chupke se kah de tū kahāñ maujūd hai
shāyad aa pahuñchā hai ahd-e-intizār-e-guftugū
chaar jānib ḳhilqat-e-lab-bastagāñ maujūd hai
raat phir āñkhoñ se bah niklī tamannā-e-visāl
aisā lagtā thā ki tū bhī darmiyāñ maujūd hai
pahle thī ik tishnagī mahrūmiyoñ se ham-kanār
ab ragoñ meñ nashsha-e-umr-e-ravāñ maujūd hai
azm ḳhud ko kārvān-e-nafā meñ shāmil na kar
tere shānoñ par abhī bār-e-ziyāñ maujūd hai
Top Urdushayar.com