Ramzi Asim

dasht ki pyas kisi taur bujhai jati

Ramzi Asim

Karachi, Sindh, Pakistan

1975
dasht kī pyaas kisī taur bujhā.ī jaatī
koī tasvīr hī paanī kī dikhā.ī jaatī
ek dariyā chalā aayā hai mire saath ise
rokne ke liye dīvār uThā.ī jaatī
ham na.e naqsh banāne kā hunar jānte haiñ
aisā hotā to na.ī shakl banā.ī jaatī
ab ye aañsū haiñ ki rukte hī nahīñ haiñ ham se
dil kī āvāz hī pahle na sunā.ī jaatī
sirf āzār uThāne kī hameñ aadat hai
ham pe saayā nahīñ dīvār girā.ī jaatī
Top Urdushayar.com