kuchh apnī fikr na apnā ḳhayāl kartā huuñ
to kyā ye kam hai tirī dekh-bhāl kartā huuñ
mirī jagah pe koī aur ho to chīḳh uTThe
maiñ apne aap se itne savāl kartā huuñ
agar malāl kisī ko nahīñ mirā na sahī
maiñ ḳhud bhī kaun sā apnā malāl kartā huuñ
ye chāñd aur sitāre rafīq haiñ mere
maiñ roz in se bayāñ apnā haal kartā huuñ
tumhārī yaad bhī aatī hai ab mujhe kam kam
tumhārā zikr bhī ab ḳhāl-ḳhāl kartā huuñ