niiñd aatī hai magar ḳhvāb nahīñ aate haiñ
mujh se milne mire ahbāb nahīñ aate haiñ
shahr kī bhiiḌ se ḳhud ko to bachā laatā huuñ
go salāmat mire āsāb nahīñ aate haiñ
tishnagī dasht kī dariyā ko Dubo de na kahīñ
is liye dasht meñ sailāb nahīñ aate haiñ
Dūbte vaqt samundar meñ mire haath lage
vo javāhir jo sar-e-āb nahīñ aate haiñ
yā unheñ aatī nahīñ bazm-e-suḳhan-ārā.ī
yā hameñ bazm ke ādāb nahīñ aate haiñ
ham-nashīñ dekh mukāfāt-e-amal hai duniyā
kaam kuchh bhī yahāñ asbāb nahīñ aate haiñ